sun sun soṇiye bol bol muṅḍeyā
tujhe pyār hai mujhse bol de merī chāhat kā kuchh mol de
ab śharm kā ghūṅghaṭ khol de merī jānāṅ
terī yād baṛī taṛpāe mujhe rāt ko nīṅd nā āe
chhoṛ zid karnā had se guzarnā oe majnūṅ dīvāne
dil naiyo denā dil naiyo lenā oe āśhiq mastāne
iśhq tū jāne nā bāt kyūṅ māne nā
śharm mujhe ātī hai jān ghabrātī hai
tujhe pyār hai mujhse …
mere dil pe gorie merā bas nā chale
nā taṛpā ab hīrie āke lag jā gale
ye dūriyāṅ nahīṅ sah saktā ki tere bin nahīṅ rah saktā
chal haṭ pagle nīṅd se jag le kyūṅ hai paṛā mere pīchhe
kyūṅ aise pakaṛe bāhoṅ meṅ jakaṛe hāth pakaṛ ke khīṅche
pās nahīṅ āūṅgī dūr chalī jāūṅgī
dil ko taṛpāūṅgī tujhko tarsāūṅgī
dekhā pahlī bār to ho gayā tujh par fidā
pāgal kartī hai mujhe ye mastānī adā
o balie hāmī bhar de ab tū jaldī se hāṇ kar de
kuchh nahīṅ jāne kuchh nahīṅ māne kaise tujhe samjhāūṅ
sun diljānī apnī kahānī kaise tujhe maiṅ sunāūṅ
dil merā ḍartā hai mujh pe tū martā hai
nā baṛhā ye uljhan kar nā dīvānāpan
tujhe pyār hai mujhse …
jān le merī jāṅ merī nā meṅ hai hāṇ