प्यार की कश्ती में ... गगन से दूर्
प्यार की कश्ती में लहरों की मस्ती में
पवन के शोर शोर में चलें हम ज़ोर ज़ोर में
गगन से दूर गगन से दूर
वहां क्या प्यार मिलेगा चमन का फूल खिलेगा
जिसे दिल ढूँढ रहा है क्या वो दिलदार मिलेगा
वहां सच होंगे सपने बनेंगे ग़ैर भी अपने
दिल की बारात सजेगी मिलेंगे साजन अपने
मैने सुना क्या सुना
जो कहा क्या कहा जाना बहुत है दूर
प्यार की कश्ती में …
प्यार को प्यार मिले तो नज़र कहीं लग ना जाए
मिलें जीवन में हम तुम कहीं फिर बिछड़ न जाएं
नज़र क्या लगे वहां पर है प्यार ही प्यार जहां पर
न बिछड़ें मिलने वाले जहाँ सब हों दिलवाले
तो चलो चलें हाँ चलें
यूं मिलके हां मिलके होके ख़ुशी में चूर
प्यार की कश्ती में …
pyār kī kaśhtī meṅ lahroṅ kī mastī meṅ
pavan ke śhor śhor meṅ chaleṅ ham zor zor meṅ
gagan se dūr gagan se dūr
vahāṅ kyā pyār milegā chaman kā phūl khilegā
jise dil ḍhūṇḍh rahā hai kyā vo dildār milegā
vahāṅ sach hoṅge sapne baneṅge ġhair bhī apne
dil kī bārāt sajegī mileṅge sājan apne
maine sunā kyā sunā
jo kahā kyā kahā jānā bahut hai dūr
pyār kī kaśhtī meṅ …
pyār ko pyār mile to nazar kahīṅ lag nā jāe
mileṅ jīvan meṅ ham tum kahīṅ phir bichhaṛ na jāeṅ
nazar kyā lage vahāṅ par hai pyār hī pyār jahāṅ par
na bichhaṛeṅ milne vāle jahāṇ sab hoṅ dilvāle
to chalo chaleṅ hāṇ chaleṅ
yūṅ milke hāṅ milke hoke khuśhī meṅ chūr
pyār kī kaśhtī meṅ …