Pyaar ke lie chaar pal kam naheen the

प्यार के लिए चार पल कम नहीं थे
Year
Language

प्यार के लिए चार पल कम नहीं थे
कभी तुम नहीं थे कभी हम नहीं थे
प्यार के हसीं कब ये मौसम नहीं थे
कभी तुम नहीं थे …

ये दिन बरसों के बाद आया
कुछ तुम्हें कुछ हमें याद आया
कसक फिर ये दिल में उठी है
होंठों पे बात आके रुकी है
कभी इतने मजबूर तो हम नहीं थे
प्यार के लिए …

अगर तुम ये दिल मांग लेते
जान-ए-मन हम तुम्हें जान देते
ये कैसे हम भूल जाते
मर के भी तुम हमें याद आते
तुम्हें है पता बेवफ़ा हम नहीं थे
प्यार के लिए …

pyār ke lie chār pal kam nahīṅ the
kabhī tum nahīṅ the kabhī ham nahīṅ the
pyār ke hasīṅ kab ye mausam nahīṅ the
kabhī tum nahīṅ the …

ye din barsoṅ ke bād āyā
kuchh tumheṅ kuchh hameṅ yād āyā
kasak phir ye dil meṅ uṭhī hai
hoṅṭhoṅ pe bāt āke rukī hai
kabhī itne majbūr to ham nahīṅ the
pyār ke lie …

agar tum ye dil māṅg lete
jān-e-man ham tumheṅ jān dete
ye kaise ham bhūl jāte
mar ke bhī tum hameṅ yād āte
tumheṅ hai patā bevafā ham nahīṅ the
pyār ke lie …