Pyaar ke jaadoo se thaa ab tak anjaanaa

प्यार के जादू से था अब तक अन्जाना
Work
Year
Language

प्यार के जादू से था अब तक अन्जाना
मैं अलबेला मैं दीवाना
है बड़ा पागल न तूने इतना जाना
तू अलबेला तू मस्ताना

पलकों की गली में था तेरा बसेरा
रात भर कल मैने ख्वाब देखा तेरा
कैसे मैं बताऊं कैसी थी बेताबी
एक पल कहीं ना चैन था ज़रा भी
मुझसे कहता है मेरा दिल अब तो
तुझको यार मुश्किल है समझाना
तू अलबेला …

तूने धड़कनों पे ऐसा जादू डाला
झूमने लगा है मेरा मन मतवाला
देखूं जो तुझे तो बेखुदी सी छाए
नाम लूं जो रब का तेरा नाम आए
मेरी जां पे है तेरा हक़
इन बातों से मैं अभी तक था बेगाना
मैं अलबेला …

pyār ke jādū se thā ab tak anjānā
maiṅ albelā maiṅ dīvānā
hai baṛā pāgal na tūne itnā jānā
tū albelā tū mastānā

palkoṅ kī galī meṅ thā terā baserā
rāt bhar kal maine khvāb dekhā terā
kaise maiṅ batāūṅ kaisī thī betābī
ek pal kahīṅ nā chain thā zarā bhī
mujhse kahtā hai merā dil ab to
tujhko yār muśhkil hai samjhānā
tū albelā …

tūne dhaṛaknoṅ pe aisā jādū ḍālā
jhūmne lagā hai merā man matvālā
dekhūṅ jo tujhe to bekhudī sī chhāe
nām lūṅ jo rab kā terā nām āe
merī jāṅ pe hai terā haq
in bātoṅ se maiṅ abhī tak thā begānā
maiṅ albelā …