Pyaar ke geet ye dil jo gaane lagaa ... dharaknon ko nae jo

प्यार के गीत ये दिल जो गाने लगा ... धड़कनों को नए जो
Year
Language

प्यार के गीत ये दिल जो गाने लगा
इक नशा सा निगाहों पे छाने लगा
धड़कनों को नए जो तराने मिले
हमको दीवानगी के बहाने मिले
ज़रा मेरे पास आ ज़रा मुझे ये बता
ज़रा सा जो होश था ज़रा भी न क्‌यूं रहा
प्यार के गीत ये …

दुनिया में जो है चाँदनी जो धूप है तुम्हीं से है
दुनिया में जो ये रंग है ये रूप है तुम्हीं से है
इक नया मोड़ अपनी कहानी में है
इक नया हुस्न अब ज़िंदगानी में है
धड़कनों को नए …

अब सोच में अब ध्यान में हर बात में तुम्हीं तो हो
अब सुबह में अब शाम में दिन रात में तुम्हीं तो हो
तुमको पाया तो क्‌या हो गई ज़िंदगी
इक हसीं ख़्वाब में खो गई ज़िंदगी
धड़कनों को नए …

pyār ke gīt ye dil jo gāne lagā
ik naśhā sā nigāhoṅ pe chhāne lagā
dhaṛaknoṅ ko nae jo tarāne mile
hamko dīvāngī ke bahāne mile
zarā mere pās ā zarā mujhe ye batā
zarā sā jo hośh thā zarā bhī na k‌yūṅ rahā
pyār ke gīt ye …

duniyā meṅ jo hai chāṇdnī jo dhūp hai tumhīṅ se hai
duniyā meṅ jo ye raṅg hai ye rūp hai tumhīṅ se hai
ik nayā moṛ apnī kahānī meṅ hai
ik nayā husn ab ziṅdgānī meṅ hai
dhaṛaknoṅ ko nae …

ab soch meṅ ab dhyān meṅ har bāt meṅ tumhīṅ to ho
ab subah meṅ ab śhām meṅ din rāt meṅ tumhīṅ to ho
tumko pāyā to k‌yā ho gaī ziṅdgī
ik hasīṅ khvāb meṅ kho gaī ziṅdgī
dhaṛaknoṅ ko nae …