Pyaar kaa fasaanaa banaa le dil deevaanaa

प्यार का फ़साना बना ले दिल दीवाना
Year
Language

मु: प्यार का फ़साना बना ले दिल दीवाना -2
कुछ तुम कहो कुछ हम कहें -2
ल: प्यार का फ़साना …

मु ; ऐसा ना हो बाग़ों से बहार चली जाए
कली-कली हो के बेक़रार चली जाए
ऐसी रुत बिना किए प्यार चली जाए
इसीलिए तो कहा है
ल: प्यार का फ़साना …

मु: छोटी सी है आज की हमारी मुलाक़ात
ल: हं हं
मु: ये न हो कि जी में रह जाए जी की बात
जाने फिर कब कोई देखे हमें साथ
इसीलिए तो कहा है
ल: प्यार का फ़साना …

mu: pyār kā fasānā banā le dil dīvānā -2
kuchh tum kaho kuchh ham kaheṅ -2
la: pyār kā fasānā …

mu ; aisā nā ho bāġhoṅ se bahār chalī jāe
kalī-kalī ho ke beqrār chalī jāe
aisī rut binā kie pyār chalī jāe
isīlie to kahā hai
la: pyār kā fasānā …

mu: chhoṭī sī hai āj kī hamārī mulāqāt
la: haṅ haṅ
mu: ye na ho ki jī meṅ rah jāe jī kī bāt
jāne phir kab koī dekhe hameṅ sāth
isīlie to kahā hai
la: pyār kā fasānā …