Pyaar jhaalaa re, jhaalaa

प्यार झाला रे, झाला
Work
Language

प्यार झाला रे झाला
राधा गोरी गोविन्दा है काला

उस को रोका वहाँ खट-पट की
खाया माखन कहीं तोड़ी मटकी
उस को रोका वहाँ खट-पट की
खाया माखन कहीं तोड़ी मटकी
माँ यशोदा ज़रा, देख ले तू भी आ
राह चलने न दे तेरा बाला रे
झाला
राधा गोरी गोविन्दा है काला

छेड़े राधा को राधा की सखियाँ
गोरी हम से छुपा तू न बतियाँ
प्यार कैसे हुआ
ये बता दे ज़रा
कब अँधेरे में देखा उजाला रे
झाला
राधा गोरी गोविन्दा है काला

नाम उस के जपे सब ज़माना
श्याम गिरिधारी गोविन्दा कान्हा
नाम उस के जपे सब ज़माना
श्याम गिरिधारी गोविन्दा कान्हा
सामने जो गया उस के वो न बचा
ऐसा जादू है कुछ उस ने डाला रे
झाला
राधा गोरी गोविन्दा है काला

pyār jhālā re jhālā
rādhā gorī govindā hai kālā

us ko rokā vahāṇ khaṭ-paṭ kī
khāyā mākhan kahīṅ toṛī maṭkī
us ko rokā vahāṇ khaṭ-paṭ kī
khāyā mākhan kahīṅ toṛī maṭkī
māṇ yaśhodā zarā, dekh le tū bhī ā
rāh chalne na de terā bālā re
jhālā
rādhā gorī govindā hai kālā

chheṛe rādhā ko rādhā kī sakhiyāṇ
gorī ham se chhupā tū na batiyāṇ
pyār kaise huā
ye batā de zarā
kab aṇdhere meṅ dekhā ujālā re
jhālā
rādhā gorī govindā hai kālā

nām us ke jape sab zamānā
śhyām giridhārī govindā kānhā
nām us ke jape sab zamānā
śhyām giridhārī govindā kānhā
sāmne jo gayā us ke vo na bachā
aisā jādū hai kuchh us ne ḍālā re
jhālā
rādhā gorī govindā hai kālā