strī: āj hai sagāī sun laṛkī ke bhaī
zarā nāch ke hamko dikhā
kuṛī kī tarah na śharmā
hāy, tū merī gal mān jā
hāṇ, tū merī gal mān jā
pu: sab ko nachāūṇ nach nach ke dikhāūṇ
ā mujh ko gale se lagā
muṅḍe se zarā āṇkh laṛā
hoy, tū merī gal mān jā
hāy, tū merī gal mān jā
o soṇiye …
pu: sar pe sajā ke sahrā bārāt le ke āūṇ
dulhan tujhe banā ke ḍolī meṅ le ke jāūṇ
strī: bholī samajh ke mujhpe na ḍāl aise dāne
śhādī nahīṅ karūṇgī jā mān jā dīvāne
pu: sun albelī merī tanhā akelī
ab kaṭtī nahīṅ ratiyāṇ
strī: jā re harjāī chal chhhoṛ kalāī
sab dekhtī haiṅ sakhiyāṇ
tū merī gal mān jā …
strī: kahtī haiṅ merī sakhiyāṇ dil meṅ hai chor tere
kyoṅ hāth dho ke aise pīchhe paṛā hai mere
pu: sakhiyoṅ se apnī kah do ke bīch meṅ na āye
ban jāyeṅ merī sālī jījā mujhe banāyeṅ
strī: maiṅ na āūṇ tere saṅg tere achchhe nahīṅ ḍhaṅg
na aise bāt baṛhā
pu: mujhe karnā tu taṅg ab band kar jaṅg
ā ban ke dulhan ghar ā
tū merī gal mān jā …