Pyaar to hameshaa rahegaa ... mere dil men kaun hai ... sirf tum

प्यार तो हमेशा रहेगा ... मेरे दिल में कौन है ... सिर्फ़ तुम्
Work
Year
Language

ये ज़मीं आसमां ये सदी ये जहां
ये चमन ये फ़िज़ा कुछ रहे न रहे
प्यार तो हमेशा रहेगा
मेरे दिल में कौन है धड़कनों में कौन है
कौन है नज़र में सिर्फ़ तुम सिर्फ़ तुम सिर्फ़ तुम

आँखों से मिलती हैं आँखें
हो जाती हैं दिल की सारी बातें
बेताबी में दिन कटते हैं
करवट लेकर कटती सारी रातें
हरपल बढ़ता जाए इसमें ऐसा है नशा
दिल ने ये पुकारा और दीवानों ने कहा
प्यार तो हमेशा रहेगा प्यार तो हमेशा रहेगा

न दुनिया की दौलत मांगें
ना चाँदी मांगें ना मांगें सोना
जाति धरम मज़हब ना माने
हो जाता है जब जिससे है होना
वेदों में लिखा है और ग्रंथों में पढ़ा
सबने है ये माना और सबमें बसा
प्यार तो हमेशा रहेगा प्यार तो हमेशा रहेगा
मेरे दिल में …

ye zamīṅ āsmāṅ ye sadī ye jahāṅ
ye chaman ye fizā kuchh rahe na rahe
pyār to hameśhā rahegā
mere dil meṅ kaun hai dhaṛaknoṅ meṅ kaun hai
kaun hai nazar meṅ sirf tum sirf tum sirf tum

āṇkhoṅ se miltī haiṅ āṇkheṅ
ho jātī haiṅ dil kī sārī bāteṅ
betābī meṅ din kaṭte haiṅ
karavaṭ lekar kaṭtī sārī rāteṅ
harpal baṛhtā jāe ismeṅ aisā hai naśhā
dil ne ye pukārā aur dīvānoṅ ne kahā
pyār to hameśhā rahegā pyār to hameśhā rahegā

na duniyā kī daulat māṅgeṅ
nā chāṇdī māṅgeṅ nā māṅgeṅ sonā
jāti dharam mazhab nā māne
ho jātā hai jab jisse hai honā
vedoṅ meṅ likhā hai aur graṅthoṅ meṅ paṛhā
sabne hai ye mānā aur sabmeṅ basā
pyār to hameśhā rahegā pyār to hameśhā rahegā
mere dil meṅ …