Pyaar aankhon se jataayaa to buraa maan gae

प्यार आँखों से जताया तो बुरा मान गए
Year
Language

प्यार आँखों से जताया तो बुरा मान गए
हाल-ए-दिल उनको सुनाया तो बुरा मान गए
प्यार आँखों से …

अपने गजरे के हर एक फूल की तारीफ़ सुनी -2
ज़ख़्म-ए-दिल हमने दिखाया तो बुरा मान गए
प्यार आँखों से …

वो तो हर रोज़ रुलाते थे घटाओं की तरह -2
हमने इक रोज़ रुलाया तो बुरा मान गए
प्यार आँखों से …

बेख़ुदी पर मेरी हँसते रहे शर्माते रहे -2
अब ज़रा होश में आया तो बुरा मान गए
प्यार आँखों से …

सिर्फ़ इतनी सी ख़ता पर हमें दुश्मन जाना -2
सर को क़दमों पे झुकाया तो बुरा मान गए
प्यार आँखों से …

pyār āṇkhoṅ se jatāyā to burā mān gae
hāl-e-dil unko sunāyā to burā mān gae
pyār āṇkhoṅ se …

apne gajre ke har ek phūl kī tārīf sunī -2
zakhm-e-dil hamne dikhāyā to burā mān gae
pyār āṇkhoṅ se …

vo to har roz rulāte the ghaṭāoṅ kī tarah -2
hamne ik roz rulāyā to burā mān gae
pyār āṇkhoṅ se …

bekhudī par merī hṇste rahe śharmāte rahe -2
ab zarā hośh meṅ āyā to burā mān gae
pyār āṇkhoṅ se …

sirf itnī sī khatā par hameṅ duśhman jānā -2
sar ko qadmoṅ pe jhukāyā to burā mān gae
pyār āṇkhoṅ se …