Pukaaro mujhe naam lekar pukaaro

पुकारो मुझे नाम लेकर पुकारो
Year
Language

पुकारो मुझे नाम लेकर पुकारो
मुझे तुमसे अपनी खबर मिल रही है

कई बार यूँ भी हुआ है सफ़र में
अचानक से दो अजनबी मिल गए हो
जिन्हें रूप पहचानती हो ??? से
भटकते-भटकते वही मिल गए हो
कुँवारे लबों की क़सम तोड़ दो तुम
ज़रा मुस्कुराकर बहारें सँवारो
पुकारे मुझे नाम …

खयालों में तुम ने भी देखी तो होंगी
कभी मेरे ख्वाबों की धुँधली लकीरें
तुम्हारी हथेली से मिलती हैं जाकर
मेरे हाथ की ये अधूरी लकीरें
बड़ी सर चढ़ी हैं ये ज़ुल्फ़ें तुम्हारी
ये ज़ुल्फ़ें मेरे बाज़ुओं में उतारो
पुकारो मुझे नाम …

pukāro mujhe nām lekar pukāro
mujhe tumse apnī khabar mil rahī hai

kaī bār yūṇ bhī huā hai safar meṅ
achānak se do ajanbī mil gae ho
jinheṅ rūp pahchāntī ho ??? se
bhaṭakte-bhaṭakte vahī mil gae ho
kuṇvāre laboṅ kī qasam toṛ do tum
zarā muskurākar bahāreṅ sṇvāro
pukāre mujhe nām …

khayāloṅ meṅ tum ne bhī dekhī to hoṅgī
kabhī mere khvāboṅ kī dhuṇdhlī lakīreṅ
tumhārī hathelī se miltī haiṅ jākar
mere hāth kī ye adhūrī lakīreṅ
baṛī sar chaṛhī haiṅ ye zulfeṅ tumhārī
ye zulfeṅ mere bāzuoṅ meṅ utāro
pukāro mujhe nām …