पुकारें कब से तुमको ... मैं भी हूँ मजबूर साजन्
पुकारें कब से तुमको चाँद और तारे
चले आओ चले आओ
आ: मैं भी हूँ मजबूर साजन दिल भी है मजबूर
मु: फिर भी प्यार के मारे दो दिल रह न सकेंगे दूर
आ: मैं भी हूँ मजबूर …
मु: दूर थी अँखियाँ तुमसे लेकिन दिल पास तुम्हारे
आ: हम भी कभी न भूले तुमको गवाह हैं चाँद सितारे
मु: मिल के बिछड़ना बिछड़ के मिलना उल्फ़त का दस्तूर
ये तो उल्फ़त का दस्तूर
आ: जब तक एक भी साँस हैं बाकी लूँगी नाम तुम्हारा
मु: हम न रहेंगे तो भी जहाँ में रहेगा प्यार हाअरा
आ: तुम ही मेरे दिल का उजाला तुम आँखों का नूर
साजन तुम आँखों का नूर
मैं भी हूँ मजबूर …
pukāreṅ kab se tumko chāṇd aur tāre
chale āo chale āo
ā: maiṅ bhī hūṇ majbūr sājan dil bhī hai majbūr
mu: phir bhī pyār ke māre do dil rah na sakeṅge dūr
ā: maiṅ bhī hūṇ majbūr …
mu: dūr thī aṇkhiyāṇ tumse lekin dil pās tumhāre
ā: ham bhī kabhī na bhūle tumko gavāh haiṅ chāṇd sitāre
mu: mil ke bichhaṛnā bichhaṛ ke milnā ulfat kā dastūr
ye to ulfat kā dastūr
ā: jab tak ek bhī sāṇs haiṅ bākī lūṇgī nām tumhārā
mu: ham na raheṅge to bhī jahāṇ meṅ rahegā pyār hāarā
ā: tum hī mere dil kā ujālā tum āṇkhoṅ kā nūr
sājan tum āṇkhoṅ kā nūr
maiṅ bhī hūṇ majbūr …