jarā ṭhahro, sadā mere dil kī jarā sunte jāo
khulī palak meṅ jhūṭhā gussā, baṅd palak meṅ pyār
jīnā bhī muśhkil, marnā bhī muśhkil
āṇkhoṅ meṅ ikrār kī jhalkī, hoṭhoṅ pe inkār
jīnā bhī muśhkil, marnā bhī muśhkil
jis din se dekhā tumko, tum lage mujhe apne se
aur āke rahe āṇkhoṅ meṅ, ek manchhāhe sapne se
samajh na āye kyā jītā maiṅ aur gayā kyā hār
jīnā bhī muśhkil, marnā bhī muśhkil
tum pyār chhupā ke hāre, maiṅ pyār jatā ke hārā
ab to sārī duniyā pe, jāhir hai hāl hamārā
pṇhuch ke is maṅjil pe lauṭnā ab to haiṅ duśhvār
jīnā bhī muśhkil, marnā bhī muśhkil
ise merī bāt nā samjho, kyā bantā hai bāt banāke
kuchh kahnā thā mere dil kā , jātā hūṇ vahī dohrāke
nā ho yakīṅ to paṛhkar dekho āṇkhoṅ meṅ ikbār
jīnā bhī muśhkil, marnā bhī muśhkil