तू इस ज़मीं की चीज़ नहीं ... तेरी कसम मैं हूँ तेरा दीवाना
तू इस ज़मीं की चीज़ नहीं जाने कहां से आई है
तू इस चमन का फूल नहीं तू किस गुलसितां से आई है
तेरी कसम मैं हूँ तेरा दीवाना तू जो कहे कर जाऊंगा
तेरे लिए ही मैं जी रहा हूँ तेरे लिए मर जाऊंगा
तेरी कसम मैं हूँ …
आशिक़ हूँ मैं मस्ताना हूँ मैं जल जाऊंगा परवाना हूँ मैं
हो कोई हवा का झोंका नहीं जो चुपके से गुज़र जाऊंगा
तेरे लिए ही मैं जी …
मेरा मचलना मेरा तड़पना मत देखना आँखें बंद रखना
हो देखा जो तूने मेरी तरफ़ तेरे दिल में उतर जाऊंगा
तेरे लिए ही मैं जी …
tū is zamīṅ kī chīz nahīṅ jāne kahāṅ se āī hai
tū is chaman kā phūl nahīṅ tū kis gulsitāṅ se āī hai
terī kasam maiṅ hūṇ terā dīvānā tū jo kahe kar jāūṅgā
tere lie hī maiṅ jī rahā hūṇ tere lie mar jāūṅgā
terī kasam maiṅ hūṇ …
āśhiq hūṇ maiṅ mastānā hūṇ maiṅ jal jāūṅgā parvānā hūṇ maiṅ
ho koī havā kā jhoṅkā nahīṅ jo chupke se guzar jāūṅgā
tere lie hī maiṅ jī …
merā machalnā merā taṛapnā mat dekhnā āṇkheṅ baṅd rakhnā
ho dekhā jo tūne merī taraf tere dil meṅ utar jāūṅgā
tere lie hī maiṅ jī …