Ye dhartee ye ambar jab se teraa meraa prem hai tab se

ये धरती ये अम्बर जब से तेरा मेरा प्रेम है तब से
Work
Year
Language

ये धरती ये अम्बर जब से
तेरा मेरा प्रेम है तब से
दीप ने मांगी थी जब ज्योती
सीप ने मांगा था जब मोती
मैने मांग लिया तुझे रब से
तेरा मेरा प्रेम है …

सदियों पुराना सारा ज़माना
सारे ज़माने से भी पुराना
प्रेम हमारा पूछ ले सबसे
तेरा मेरा प्रेम है …

हम दो पंछी मस्त हवाएं
चल पिंजरा ले के उड़ जाएं
दूर कहीं जा बैठें सब से
तेरा मेरा प्रेम है …

ye dhartī ye ambar jab se
terā merā prem hai tab se
dīp ne māṅgī thī jab jyotī
sīp ne māṅgā thā jab motī
maine māṅg liyā tujhe rab se
terā merā prem hai …

sadiyoṅ purānā sārā zamānā
sāre zamāne se bhī purānā
prem hamārā pūchh le sabse
terā merā prem hai …

ham do paṅchhī mast havāeṅ
chal piṅjrā le ke uṛ jāeṅ
dūr kahīṅ jā baiṭheṅ sab se
terā merā prem hai …