Haay meree ankhiyon ne sapnaa dekhaa re ... sapne men saajan apnaa

हाय मेरी अँखियों ने सपना देखा रे ... सपने में साजन अपना
Work
Year
Language

हाय मेरी अँखियों ने सपना देखा रे
सपने में साजन अपना देखा रे
हाय मेरी अँखियों ने …

ये ना बोलूंगी वो कैसा था
जैसा सोचा था बिल्कुल वैसा था
कोई दूजा ना कोई दूजा ना ऐसा देखा रे
हाय मेरी अँखियों ने …

मेरी साँसों से उसकी साँसों से
उसकी आँखों से मेरी आँखों से
तीर कमानों का तीर कमानों का चलना देखा रे
हाय मेरी अँखियों ने …

hāy merī aṇkhiyoṅ ne sapnā dekhā re
sapne meṅ sājan apnā dekhā re
hāy merī aṇkhiyoṅ ne …

ye nā bolūṅgī vo kaisā thā
jaisā sochā thā bilkul vaisā thā
koī dūjā nā koī dūjā nā aisā dekhā re
hāy merī aṇkhiyoṅ ne …

merī sāṇsoṅ se uskī sāṇsoṅ se
uskī āṇkhoṅ se merī āṇkhoṅ se
tīr kamānoṅ kā tīr kamānoṅ kā chalnā dekhā re
hāy merī aṇkhiyoṅ ne …