Poochh na mujhse dil ke fasaane

पूछ न मुझसे दिल के फ़साने
Work
Language

पूछ न मुझसे दिल के फ़साने
इश्क़ की बातें इश्क़ ही जाने

वोह दिन जब हम तुमसे मिले थे
दिल के नाज़ुक फूल खिले थे
मस्ती आँखें चूम रही थी
सारी दुनिया झूम रही थी
दो दिल थे वो भी दीवाने
इश्क़ की बातें इश्क़ ही जाने …

वो दिन जब तुम दूर हुए थे
दिल के शीशे चूर हुए थे
आयी खिज़ाँ रंगीन चमन में
आग लगी जब दिल के बन में
कोई न आया आग बुझाने
इश्क़ की बातें, इश्क़ ही जाने …

pūchh na mujhse dil ke fasāne
iśhq kī bāteṅ iśhq hī jāne

voh din jab ham tumse mile the
dil ke nāzuk phūl khile the
mastī āṇkheṅ chūm rahī thī
sārī duniyā jhūm rahī thī
do dil the vo bhī dīvāne
iśhq kī bāteṅ iśhq hī jāne …

vo din jab tum dūr hue the
dil ke śhīśhe chūr hue the
āyī khizāṇ raṅgīn chaman meṅ
āg lagī jab dil ke ban meṅ
koī na āyā āg bujhāne
iśhq kī bāteṅ, iśhq hī jāne …