पिया पिया ओ पिया ... जब जब चूड़ी खनके रे
जब जब चूड़ी खनके रे जब जब पायल छनके रे
जब जब सावन बरसे रे ओ बोले बोले हाय जिया
पिया पिया ओ पिया पिया पिया पिया ओ पिया
सुबह शाम करे मेरा जिया जिया जिया जिया जिया
पिया पिया …
ना जाने क्यूं दिल धड़के घड़ी घड़ी ये क्यूं तड़पे
ओ बेदर्दी तूने इसको दर्द ये कैसा दिया
पिया पिया …
नींद उड़ जाती है हो चैन भी खोता है
तन्हा तन्हाई में हो जाने क्या होता है
रंग खिल जाता है आँख झुक जाती है
आईना देखूं तो शर्म सी आती है
बेताबी देके मुझको क्यूं होश ये मेरा लिया
पिया पिया …
जब किसी लड़के से हो लड़की कोई मिलती है
मेरे दिल में चाहत की हो चाँदनी खिलती है
जब किसी के घर में हो ढोलकी बजती है
जब किसी की डोली फूलों से सजती है
मेरी भी दीवानी धड़कन करने लगे इया इया
पिया पिया …
jab jab chūṛī khanke re jab jab pāyal chhanke re
jab jab sāvan barse re o bole bole hāy jiyā
piyā piyā o piyā piyā piyā piyā o piyā
subah śhām kare merā jiyā jiyā jiyā jiyā jiyā
piyā piyā …
nā jāne kyūṅ dil dhaṛke ghaṛī ghaṛī ye kyūṅ taṛpe
o bedardī tūne isko dard ye kaisā diyā
piyā piyā …
nīṅd uṛ jātī hai ho chain bhī khotā hai
tanhā tanhāī meṅ ho jāne kyā hotā hai
raṅg khil jātā hai āṇkh jhuk jātī hai
āīnā dekhūṅ to śharm sī ātī hai
betābī deke mujhko kyūṅ hośh ye merā liyā
piyā piyā …
jab kisī laṛke se ho laṛkī koī miltī hai
mere dil meṅ chāhat kī ho chāṇdnī khiltī hai
jab kisī ke ghar meṅ ho ḍholkī bajtī hai
jab kisī kī ḍolī phūloṅ se sajtī hai
merī bhī dīvānī dhaṛkan karne lage iyā iyā
piyā piyā …