Piyaa laagee lagan bas tere naam kee ... tujhpe balihaaree jaaoon

पिया लागी लगन बस तेरे नाम की ... तुझपे बलिहारी जाऊं
Year
Language

आ इश्क़ न करना इश्क़ न करना इश्क़ न करना
किसी ने सच ही कहा है
बुरा हो इन बैरन अँखियन का हो जो कर बैठीं नादानी
हो पहले आग लगाई दिल में हो और फिर बरसाएं पानी
इश्क़ न करना इश्क़ न करना

ओ पिया लागी लगन पिया पिया
पिया लागी लगन बस तेरे नाम की
तुझपे बलिहारी जाऊं कसम राम की
तुझपे बलिहारी …

मेरा सिंदूर है मेरा श्र्ऋंगार है
तू मेरी धड़कनें तू मेरा प्यार है
रब से बस एक सौगात मांगूं पिया
हर जनम में तेरा साथ मांगूं पिया
मैने हर साँस पे साँस पे साँस पे
मैने हर साँस पे नाम तेरा लिखा
तुझपे बलिहारी …

लागी रे लागी लागी लागी लागी लागी लागी
लागी लागी सब कहें ये लागी बुरी बला
दिल के दुश्मन इस लागी पर किसका जोर चला
मुझपे छाई है कैसी ये दीवानगी
मैने माना तुझे अपना भगवान जी
राम जी राम जी राम जी राम
मुझको सौगंध साजन मेरे राम की
राम जी राम जी राम जी राम
बिन तेरे मैं नहीं अब किसी काम की
तेरी दहलीज़ पे ओ तेरी दहलीज़ पे दम ये निकले मेरा
तुझपे बलिहारी …

ā iśhq na karnā iśhq na karnā iśhq na karnā
kisī ne sach hī kahā hai
burā ho in bairan aṇkhiyan kā ho jo kar baiṭhīṅ nādānī
ho pahle āg lagāī dil meṅ ho aur phir barsāeṅ pānī
iśhq na karnā iśhq na karnā

o piyā lāgī lagan piyā piyā
piyā lāgī lagan bas tere nām kī
tujhpe balihārī jāūṅ kasam rām kī
tujhpe balihārī …

merā siṅdūr hai merā śhrṝṅgār hai
tū merī dhaṛakneṅ tū merā pyār hai
rab se bas ek saugāt māṅgūṅ piyā
har janam meṅ terā sāth māṅgūṅ piyā
maine har sāṇs pe sāṇs pe sāṇs pe
maine har sāṇs pe nām terā likhā
tujhpe balihārī …

lāgī re lāgī lāgī lāgī lāgī lāgī lāgī
lāgī lāgī sab kaheṅ ye lāgī burī balā
dil ke duśhman is lāgī par kiskā jor chalā
mujhpe chhāī hai kaisī ye dīvāngī
maine mānā tujhe apnā bhagvān jī
rām jī rām jī rām jī rām
mujhko saugaṅdh sājan mere rām kī
rām jī rām jī rām jī rām
bin tere maiṅ nahīṅ ab kisī kām kī
terī dahlīz pe o terī dahlīz pe dam ye nikle merā
tujhpe balihārī …