Phool khile jugnoo chamke ... tere bin mere mitraa ... meraa dil naiyo lagdaa

फूल खिले जुगनू चमके ... तेरे बिन मेरे मितरा ... मेरा दिल नइयो लगदा
Year
Language

फूल खिले जुगनू चमके दिल धड़के निकले तारे
मेरे जानम तू नहीं आया बाकी आ गए सारे

तेरे बिन मेरे मितरा ओ बेखबरा बेदर्दाअ
मेरा दिल नइयो लगदा लगदा
तेरे प्यार बिना सजना रंग रूप मेरा नइयो सजदा
मेरा दिल नइयो …
तेरे बिन मेरे मितरा ओ …

सामने मेरा यार नहीं
यार नहीं तो प्यार नहीं
क्‌या नाचूं मैं क्‌या गाऊं
मेरी पायल में झनकार नहीं
सामने मेरा यार नहीं
झूठा वादा कर गया साजन
झूठा दुनिया भर दा
मेरा दिल नइयो …
तेरे बिन मेरे मितरा ओ …

हो मेरी पायल मेरी पायल छम छम बजने लगी
हो मेरी चूड़ी मेरी चूड़ी खन खन करने लगी
तेरी प्यास बुझी सावन आया
चल नाच तेरा साजन आया
आ ओ जान मेरी लब पर आई
अब आया तू हरजाई
रस्ते में ही टूट गई हाय
शर्म से मेरी अंग्ड़ाई
निकल गया सीने से बाहर ये दिल धकधक करदा
मेरा दिल नइयो …
तेरे बिन मेरे मितरा ओ …

phūl khile jugnū chamke dil dhaṛke nikle tāre
mere jānam tū nahīṅ āyā bākī ā gae sāre

tere bin mere mitrā o bekhabrā bedardāa
merā dil naiyo lagdā lagdā
tere pyār binā sajnā raṅg rūp merā naiyo sajdā
merā dil naiyo …
tere bin mere mitrā o …

sāmne merā yār nahīṅ
yār nahīṅ to pyār nahīṅ
k‌yā nāchūṅ maiṅ k‌yā gāūṅ
merī pāyal meṅ jhankār nahīṅ
sāmne merā yār nahīṅ
jhūṭhā vādā kar gayā sājan
jhūṭhā duniyā bhar dā
merā dil naiyo …
tere bin mere mitrā o …

ho merī pāyal merī pāyal chham chham bajne lagī
ho merī chūṛī merī chūṛī khan khan karne lagī
terī pyās bujhī sāvan āyā
chal nāch terā sājan āyā
ā o jān merī lab par āī
ab āyā tū harjāī
raste meṅ hī ṭūṭ gaī hāy
śharm se merī aṅgṛāī
nikal gayā sīne se bāhar ye dil dhakadhak kardā
merā dil naiyo …
tere bin mere mitrā o …