Phir zarraa mahkegaa ... rind posh maal

फिर ज़र्रा महकेगा ... रिंद पोश माल्
Year
Language

फिर ज़र्रा महकेगा खुश्बू के मौसम आएंगे
फिर चिनार की शाखों पे पंछी घर बनाएंगे
इन राहों से जाने वाले फिर लौट के वापस आएंगे
फिर जन्नत की गलियों में सब लोग ये नगमें गाएंगे
रिंद पोश माल गिंदने ध्राए लो लो
रिंद पोश माल …
सरगम के मीठे मीठे सुर घोलो
रिंद पोश माल …

हे आया हूँ मैं प्यार का ये नगमा सुनाने
सारी दुनिया को इक सुर में सजाने
सबके दिलों से नफ़रतों को मिटाने
आओ यारों मेरे संग संग बोलो हे
रिंद पोश माल …

जीत ले जो सबके दिल को ऐसा कोई गीत गाओ हे हे
दोस्ती का साज़ छेड़ो दुश्मनी को भूल जाओ
आओ यारों मेरे हे
रिंद पोश माल …

संगीत में है ऐसी फुहार
पतझड़ में भी जो लाए बहार
संगीत को ना रोके दीवार
संगीत जाए सरहद के पार
हो संगीत माने ना धर्म जात
संगीत से जुड़ी क़ायनात
संगीत की ना कोई ज़ुबान
संगीत में है गीता क़ुरान
संगीत में है अल्लाह-ओ-राम
संगीत में है दुनिया तमाम
तूफ़ानों का भी रुख मोड़ता है
संगीत टूटे दिल को जोड़ता है
रिंद पोश माल …

phir zarrā mahkegā khuśhbū ke mausam āeṅge
phir chinār kī śhākhoṅ pe paṅchhī ghar banāeṅge
in rāhoṅ se jāne vāle phir lauṭ ke vāpas āeṅge
phir jannat kī galiyoṅ meṅ sab log ye nagmeṅ gāeṅge
riṅd pośh māl giṅdne dhrāe lo lo
riṅd pośh māl …
sargam ke mīṭhe mīṭhe sur gholo
riṅd pośh māl …

he āyā hūṇ maiṅ pyār kā ye nagmā sunāne
sārī duniyā ko ik sur meṅ sajāne
sabke diloṅ se nafartoṅ ko miṭāne
āo yāroṅ mere saṅg saṅg bolo he
riṅd pośh māl …

jīt le jo sabke dil ko aisā koī gīt gāo he he
dostī kā sāz chheṛo duśhmnī ko bhūl jāo
āo yāroṅ mere he
riṅd pośh māl …

saṅgīt meṅ hai aisī phuhār
patjhaṛ meṅ bhī jo lāe bahār
saṅgīt ko nā roke dīvār
saṅgīt jāe sarahad ke pār
ho saṅgīt māne nā dharm jāt
saṅgīt se juṛī qāynāt
saṅgīt kī nā koī zubān
saṅgīt meṅ hai gītā qurān
saṅgīt meṅ hai allāh-o-rām
saṅgīt meṅ hai duniyā tamām
tūfānoṅ kā bhī rukh moṛtā hai
saṅgīt ṭūṭe dil ko joṛtā hai
riṅd pośh māl …