Phir vohee shaam, vahee gham, vahee tanhaaee hai

फिर वोही शाम, वही ग़म, वही तनहाई है
Work
Year
Language

फिर वोही शाम वही ग़म वही तनहाई है
दिल को समझाने तेरी याद चली आई है

फिर तसव्वुर तेरे पहलू में बिठा जाएगा
फिर गया वक़्त घड़ी भर को पलट आएगा
दिल बहल जाएगा आखिर ये तो सौदाई है
फिर वोही शाम …

जाने अब तुझ से मुलाक़ात कभी हो के न हो
जो अधूरी रहे वो बात कभी हो के न हो
मेरी मंज़िल तेरी मंज़िल से बिछड़ आई है
फिर वोही शाम …

फिर तेरे ज़ुल्फ़ के रुखसार की बातें होंगी
हिज्र की रात मगर प्यार की बातें होंगी
फिर मुहब्बत में तड़पने की क़सम खाई है
फिर वोही शाम …

phir vohī śhām vahī ġham vahī tanhāī hai
dil ko samjhāne terī yād chalī āī hai

phir tasavvur tere pahlū meṅ biṭhā jāegā
phir gayā vaqt ghaṛī bhar ko palaṭ āegā
dil bahal jāegā ākhir ye to saudāī hai
phir vohī śhām …

jāne ab tujh se mulāqāt kabhī ho ke na ho
jo adhūrī rahe vo bāt kabhī ho ke na ho
merī maṅzil terī maṅzil se bichhaṛ āī hai
phir vohī śhām …

phir tere zulf ke rukhsār kī bāteṅ hoṅgī
hijr kī rāt magar pyār kī bāteṅ hoṅgī
phir muhabbat meṅ taṛapne kī qasam khāī hai
phir vohī śhām …