Phailee hueen hain sapnon kee baahen

फैली हुईं हैं सपनों की बाहें
Year
Language

फैली हुईं हैं सपनों की बाहें
आजा चल दें कहीं दूर
वहीं मेरी मन्ज़िल वहीं तेरी राहें
आजा चल दें कहीं दूर

ऊँचे घाट के संग तले छिप जाएं
धुंधली फ़िज़ा में कुछ खोएं कुछ पायें
धड़कन की लय पर कोई ऐसी धुन गायें
देदे जो दिलको दिलकी पनाहें
आजा चल दें कहीं दूर …

झूला धनक का धीरे धीरे हम झूलें
अम्बर तो क्‌या है तारों के भी लब छूलें
मस्ती में झूलें और सारे ग़म भूलें
पीछे ना देखें मुड़के निगाहें
आजा चल दें कहीं दूर …

फैली हुईं हैं …

phailī huīṅ haiṅ sapnoṅ kī bāheṅ
ājā chal deṅ kahīṅ dūr
vahīṅ merī manzil vahīṅ terī rāheṅ
ājā chal deṅ kahīṅ dūr

ūṇche ghāṭ ke saṅg tale chhip jāeṅ
dhuṅdhlī fizā meṅ kuchh khoeṅ kuchh pāyeṅ
dhaṛkan kī lay par koī aisī dhun gāyeṅ
dede jo dilko dilkī panāheṅ
ājā chal deṅ kahīṅ dūr …

jhūlā dhanak kā dhīre dhīre ham jhūleṅ
ambar to k‌yā hai tāroṅ ke bhī lab chhūleṅ
mastī meṅ jhūleṅ aur sāre ġham bhūleṅ
pīchhe nā dekheṅ muṛke nigāheṅ
ājā chal deṅ kahīṅ dūr …

phailī huīṅ haiṅ …