Peechhe baaraatee ... aae dulhe raajaa

पीछे बाराती ... आए दुल्हे राजा
Year
Language

पीछे बाराती आगे बैंड बाजा
आए दुल्हे राजा गोरी खोल दरवाज़ा
हे पीछे बाराती …

लाज शरम की रेखा को पार कर ले
ना ना ना कर हाँ हाँ तू प्यार कर ले
नाचते गाते तेरी गली हम आएँगे
तुझ को उठा के गोरी हम ले जाएँगे
अपनी मर्ज़ी से आजा दिल में समा जा
आए दुल्हे राजा …

मेहंदी लगा ले सोलह सिंगार कर ले
दुल्हन बन जा खुद को तैयार कर ले
कबसे न जाने तेरे पीछे पड़ा हूँ
देख तेरे घर के सामने खड़ा हूँ
मैं अंदर आऊँ या बाहर तू आजा
आए दुल्हे राजा …
पीछे बाराती आगे बैंड बाजा
आए दुल्हे राजा गोरी खोल दरवाज़ा
हे पीछे बाराती …

लाज शरम की रेखा …

आजा सनम तेरी कसम
कहीं मजबूरियाँ हाय
बन न जाएँ मेरे हाथों की चूड़ियाँ
तेरा नाम लिया तुझे याद किया
तेरी यादों ने मुझे थाम लिया
आ मेरे सनम अब वक़्त है कम
होंठों पे है दम मुझे तेरी कसम
आँखों में आँसू दिल में हैं ग़म
आजा आजा तू है कहाँ मेरे सपनों के राजा
राजा राजा आजा आजा

मेहंदी लगा ले …

pīchhe bārātī āge baiṅḍ bājā
āe dulhe rājā gorī khol darvāzā
he pīchhe bārātī …

lāj śharam kī rekhā ko pār kar le
nā nā nā kar hāṇ hāṇ tū pyār kar le
nāchte gāte terī galī ham āeṇge
tujh ko uṭhā ke gorī ham le jāeṇge
apnī marzī se ājā dil meṅ samā jā
āe dulhe rājā …

mehaṅdī lagā le solah siṅgār kar le
dulhan ban jā khud ko taiyār kar le
kabse na jāne tere pīchhe paṛā hūṇ
dekh tere ghar ke sāmne khaṛā hūṇ
maiṅ aṅdar āūṇ yā bāhar tū ājā
āe dulhe rājā …
pīchhe bārātī āge baiṅḍ bājā
āe dulhe rājā gorī khol darvāzā
he pīchhe bārātī …

lāj śharam kī rekhā …

ājā sanam terī kasam
kahīṅ majbūriyāṇ hāy
ban na jāeṇ mere hāthoṅ kī chūṛiyāṇ
terā nām liyā tujhe yād kiyā
terī yādoṅ ne mujhe thām liyā
ā mere sanam ab vaqt hai kam
hoṅṭhoṅ pe hai dam mujhe terī kasam
āṇkhoṅ meṅ āṇsū dil meṅ haiṅ ġham
ājā ājā tū hai kahāṇ mere sapnoṅ ke rājā
rājā rājā ājā ājā

mehaṅdī lagā le …