piyā kī galī lāge bhalī
roko na sakhī jiyā bas meṅ nahīṅ
kahāṇ tū chalī birhā jalī
dekhe na koī sakhī jā na kahīṅ
badriyā ghir ghir āye
bijuriyā śhor machāye
maiṅ to jāūṇgī, maiṅ to jāūṇgī, maiṅ to jāūṇgī
sṇvar ke bindiyā lagā ke
na jā tū rūp sajā ke
maiṅ to jāūṇgī, maiṅ to jāūṇgī, maiṅ to jāūṇgī
chhup gaye tāre rain ḍhalak gaii
sūnī rahī morī sajiyā to kyā hogā
piyā kī galī …
rāt hai kārī barkhā parat hai
bhīge jo nainoṅ kā kajrā to kyā hogā
mast pavan hai chunrī uṛat hai
mahke jo phūloṅ kā gajrā to kyā hogā
chhoṛo chhoṛo chhoṛo bahiyāṇ rahā na jāye
dekho dekho dekho dekho piyā bulāye
kaise na jāūṇ, kaise na jāūṇ -2
der se morī rāh takat hai
rūṭhā jo bāṇkā sajnā to kyā hogā
piyā kī galī …
dīvānī chup ho jā re
piyā kī dhun mat gā re
maiṅ to gāūṇgī, maiṅ to gāūṇgī, maiṅ to gāūṇgī
jiyā ko tū samjhā re
sunegī sab duniyā re
maiṅ to gāūṇgī, maiṅ to gāūṇgī, maiṅ to gāūṇgī
kāhe tū ṭoke kāhe roke
rahā chaman merā pyāsā to kyā hogā
piyā kī galī …