पर्वतों से आज मैं टकरा गया, तुम ने दी आवाज़ लो मैं आ गया
प्रेमी हूँ पागल हूँ मैं, पागल हूँ मैं, पागल हूँ मैं
रूप का सागर हूँ मैं, सागर हूँ मैं , सागर हूँ मैं
प्यार का बादल हूँ मैं
पर्वतों से आज मैं टकरा गया
तुम ने दी आवाज़ लो मैं आ गया (2)
तुम बुलाओ मैं ना आऊं ऐसा हरजाई नहीं
इतने दिन तुमको ही मेरी (2) याद तक आई नहीं
आ गया जादू का मौसम आ गया
तुम ने दी आवाज़ लो मैं आ गया
हो हो पर्वतों से आज मैं टकरा गया
तुम ने दी आवाज़ लो मैं आ गया
उम्र ही ऐसी है कुछ ये तुम किसी से पूछ लो
एक साथी की ज़रूरत (2) पड़ती है हर एक को
दिल तुम्हारा इस लिये घबरा गया
तुम ने दी आवाज़ लो मैं आ गया
हो हो पर्वतों से आज मैं टकरा गया
तुम ने दी आवाज़ लो मैं आ गया
खोल कर इन बन्द आँखों को झरोखों की तरह
चोर आवारा हवा के मस्त झोंकों की तरह
रेशमी ज़ुल्फ़ों को मैं बिखरा गया
तुमने दी आवाज़ लो मैं आ गया
हो हो हो पर्वतों से आज मैं टकरा गया …
premī hūṇ pāgal hūṇ maiṅ, pāgal hūṇ maiṅ, pāgal hūṇ maiṅ
rūp kā sāgar hūṇ maiṅ, sāgar hūṇ maiṅ , sāgar hūṇ maiṅ
pyār kā bādal hūṇ maiṅ
parvtoṅ se āj maiṅ ṭakrā gayā
tum ne dī āvāz lo maiṅ ā gayā (2)
tum bulāo maiṅ nā āūṅ aisā harjāī nahīṅ
itne din tumko hī merī (2) yād tak āī nahīṅ
ā gayā jādū kā mausam ā gayā
tum ne dī āvāz lo maiṅ ā gayā
ho ho parvtoṅ se āj maiṅ ṭakrā gayā
tum ne dī āvāz lo maiṅ ā gayā
umr hī aisī hai kuchh ye tum kisī se pūchh lo
ek sāthī kī zarūrat (2) paṛtī hai har ek ko
dil tumhārā is liye ghabrā gayā
tum ne dī āvāz lo maiṅ ā gayā
ho ho parvtoṅ se āj maiṅ ṭakrā gayā
tum ne dī āvāz lo maiṅ ā gayā
khol kar in band āṇkhoṅ ko jharokhoṅ kī tarah
chor āvārā havā ke mast jhoṅkoṅ kī tarah
reśhmī zulfoṅ ko maiṅ bikhrā gayā
tumne dī āvāz lo maiṅ ā gayā
ho ho ho parvtoṅ se āj maiṅ ṭakrā gayā …