Pardesiyon se naa ankhiyaan milaanaa

परदेसियों से ना अँखियां मिलाना
Year
Language

परदेसियों से ना अँखियां मिलाना
परदेसियों को है इक दिन जाना

आती है जब ये रुत मस्तानी
बनती है कोई न कोई कहानी
अब के बस देखे बने क्‌या फ़साना
सच ही कहा है पंछी इनको
रात को ठहरे तो उड़ जाएं दिन को
आज यहाँ कल वहाँ है ठिकाना
बागों में जब जब फूल खिलेंगे
तब तब ये हरजाई मिलेंगे
गुज़रेगा कैसे पतझड़ का ज़माना
ये बाबुल का देस छुड़ाएं
देस से ये परदेस बुलाएं
हाय सुनें ना ये कोई बहाना
हमने यही एक बार किया था
एक परदेसी से प्यार किया था
ऐसे जलाए दिल जैसे परवाना
प्यार से अपने ये नहीं होते
ये पत्थर हैं ये नहीं रोते
इनके लिये ना आँसू बहाना
ना ये बादल ना ये तारे
ये कागज़ के फूल हैं सारे
इन फूलों के बाग न लगाना
हमने यही एक बार किया था
एक परदेसी से प्यार किया था
रो रो के कहता है दिल ये दीवाना

pardesiyoṅ se nā aṇkhiyāṅ milānā
pardesiyoṅ ko hai ik din jānā

ātī hai jab ye rut mastānī
bantī hai koī na koī kahānī
ab ke bas dekhe bane k‌yā fasānā
sach hī kahā hai paṅchhī inko
rāt ko ṭhahre to uṛ jāeṅ din ko
āj yahāṇ kal vahāṇ hai ṭhikānā
bāgoṅ meṅ jab jab phūl khileṅge
tab tab ye harjāī mileṅge
guzregā kaise patjhaṛ kā zamānā
ye bābul kā des chhuṛāeṅ
des se ye pardes bulāeṅ
hāy suneṅ nā ye koī bahānā
hamne yahī ek bār kiyā thā
ek pardesī se pyār kiyā thā
aise jalāe dil jaise parvānā
pyār se apne ye nahīṅ hote
ye patthar haiṅ ye nahīṅ rote
inke liye nā āṇsū bahānā
nā ye bādal nā ye tāre
ye kāgaz ke phūl haiṅ sāre
in phūloṅ ke bāg na lagānā
hamne yahī ek bār kiyā thā
ek pardesī se pyār kiyā thā
ro ro ke kahtā hai dil ye dīvānā