iśhq kā zikra āsmānoṅ par
iśhq kā nām sab zubānoṅ par
khel dil kā hai ye
magar is meṅ
khel jāte haiṅ log jānoṅ par
maiṅ jiskī talāśh meṅ niklā
usko to maiṅ ne ḍhūṇḍh liyā
use ḍhūṇḍh ke maiṅ khud kho gayā
mujhe iśhq ho gayā, iśhq iśhq …
qāfir kaho to kah lo
kah lo qāfir kaho to kah lo
mazhab hai iśhq merā
kuchh bhī kahūṇ zubān se
matalab hai iśhq merā
na samjho dillgī hai
ki ye dil kī lagī hai
ye merī jān legī
ye sab kuchh phūṇk degī
dhuāṇ uṭhne lagā hai
ye dam ghuṭne lagā hai
ki dil meṅ haule haule
bhaṛak uṭhe haiṅ śhole
dekh rahī hai sārī duniyā
dūr khaṛī hairānī se
sāt samandar hār gaye
ye āg bujhī na pānī se
mere dil kī nābeṅ chalī gayī
barsāt baras kar chalī gayī
sāvan bhī ākar ro gayā
mujhe iśhq ho gayā, iśhq, iśhq …
janāzā uṭhegā, yā bārāt hogī
magar āj unse mulāqāt hogī
baṛe zor kī pyās jagī hai dil meṅ
baṛe zor kī āj barsāt hogī
ni-sa sa ni-sa sa ni-sa sa
ni-pa ma-pa ga ga ga-ma
re sa sa ga-ma ga ga ni-pa
kahāṇ se ā rahā hūṇ
kahāṇ maiṅ jā rahā hūṇ
mujhe is kī khabar kyā
idhar kyā hai udhar kyā
mere chit chor se maiṅ
bandhā hūṇ ḍor se maiṅ
jahāṇ bhī jāyegā vo
mujhe le jāyegā vo
bhūl bhulaiyyā nanin sajan ke
mujhko iskī khabar nahīṅ
jāne kī to hai, vāpas āne kī koī ḍagar nahīṅ
na sūrat uskī āyī nazar
na uskī koī āyī khabar
us prem galī ko jo gayā
mujhe iśhq ho gayā, iśhq, iśhq …
iśhq khudā hai, iśhq hī rab hai
iśhq hī to duniyā kā sabab hai
iśhq ho gayā, iśhq, iśhq
iśhq hī jādū, iśhq hī khuśhbū
iśhq nahīṅ to kyā maiṅ, kyā tū
iśhq ho gayā, iśhq, iśhq
nām hazāroṅ, iśhq akelā
iśhq binā hai kaun sā melā
iśhq ho gayā, iśhq, iśhq
iśhq sayānā, iśhq dīvānā
iśhq ko samjhe kyā ye zamānā
mujhe iśhq ho gayā, iśhq, iśhq
iśhq kī bāteṅ haiṅ har dil meṅ
mandir, masjid ek hī dil meṅ
iśhq ho gayā, iśhq, iśhq
mujhe iśhq ho gayā, iśhq, iśhq