Panth nihaaroon ... pare barkhaa phuhaar

पंथ निहारूँ ... पड़े बरखा फुहार्
Year
Language

पंथ निहारूँ डगर बुहारूँ नैन बहाऊँ नीर
सूली ऊपर सेज पिया की किस विध मिलना होय

पड़े बरखा फुहार करे जियरा पुकार
दुख जाने ना हमार बैरन रुत बरसात की
पड़े बरखा फुहार …

उत बरसे बदरवा कारे इत बरसे दो नैन हमारे
हाय मिटी कजरे की धार लुटा मन का सिंगार
दुख जाने ना हमार …

दुख हमरी अभागन प्रीत के वो ही जाने जो हारा हो जीत के
टूटे सपनों के हार सूना लागे संसार
दुख जाने ना हमार …

paṅth nihārūṇ ḍagar buhārūṇ nain bahāūṇ nīr
sūlī ūpar sej piyā kī kis vidh milnā hoy

paṛe barkhā phuhār kare jiyrā pukār
dukh jāne nā hamār bairan rut barsāt kī
paṛe barkhā phuhār …

ut barse badarvā kāre it barse do nain hamāre
hāy miṭī kajre kī dhār luṭā man kā siṅgār
dukh jāne nā hamār …

dukh hamrī abhāgan prīt ke vo hī jāne jo hārā ho jīt ke
ṭūṭe sapnoṅ ke hār sūnā lāge saṅsār
dukh jāne nā hamār …