पंख होते तो उड़ आती, रसिया ओ ज़ालिमा
पंख होते तो उड़ आती, रसिया ओ ज़ालिमा
तुझे दिल का दाग़ दिखलाती
किरनें बन के बाहें फैलायी
आस के बादल पे जाके लहरायी
दूर से देखा मौसम हसीं था
आनेवाले तू ही नहीं था
रसिया ओ ज़ालिमा
तुझे दिल का दाग दिखलाती …
यादों में खोयी पहुँची गगन में
पंछी बन के सच्ची लगन में
झूल चुकी मैं वादे का झूला
तू तो अपना वादा ही भूला
रसिया ओ ज़ालिमा
तुझे दिल का दाग दिखलाती …
paṅkh hote to uṛ ātī, rasiyā o zālimā
tujhe dil kā dāġh dikhlātī
kirneṅ ban ke bāheṅ phailāyī
ās ke bādal pe jāke lahrāyī
dūr se dekhā mausam hasīṅ thā
ānevāle tū hī nahīṅ thā
rasiyā o zālimā
tujhe dil kā dāg dikhlātī …
yādoṅ meṅ khoyī pahuṇchī gagan meṅ
paṅchhī ban ke sachchī lagan meṅ
jhūl chukī maiṅ vāde kā jhūlā
tū to apnā vādā hī bhūlā
rasiyā o zālimā
tujhe dil kā dāg dikhlātī …