Panchhee nadiyaa pavan ke jhonke

पंछी नदिया पवन के झोंके
Work
Year
Language

पंछी नदिया पवन के झोंके
कोई सरहद ना इन्हें रोके
सरहदें इन्सानों के लिए हैं
सोचो तुमने और मैने क्‌या पाया इन्सां हो के
पंछी नदिया …

जो हम दोनों पंछी होते
तैरते हम इस नील गगन में
पंख पसारे
सारी धरती अपनी होती
अपने होते सारे नज़ारे
खुली फ़िज़ाओं में उड़ते
अपने दिल में हम सारा प्यार समो के
पंछी नदिया …

जो मैं होती नदिया और तुम पवन के झोंके तो क्‌या होता
पवन के झोंके नदी के तन को जब छूते हैं
लहरें ही लहरें बनती हैं
हम दोनों जो मिलते तो कुछ ऐसा होता
सब कहते ये लहर लहर जहां भी जाए
इसको ना कोई टोके
पंछी नदिया …

paṅchhī nadiyā pavan ke jhoṅke
koī sarahad nā inheṅ roke
sarahdeṅ insānoṅ ke lie haiṅ
socho tumne aur maine k‌yā pāyā insāṅ ho ke
paṅchhī nadiyā …

jo ham donoṅ paṅchhī hote
tairte ham is nīl gagan meṅ
paṅkh pasāre
sārī dhartī apnī hotī
apne hote sāre nazāre
khulī fizāoṅ meṅ uṛte
apne dil meṅ ham sārā pyār samo ke
paṅchhī nadiyā …

jo maiṅ hotī nadiyā aur tum pavan ke jhoṅke to k‌yā hotā
pavan ke jhoṅke nadī ke tan ko jab chhūte haiṅ
lahreṅ hī lahreṅ bantī haiṅ
ham donoṅ jo milte to kuchh aisā hotā
sab kahte ye lahar lahar jahāṅ bhī jāe
isko nā koī ṭoke
paṅchhī nadiyā …