Palkon ke peechhe se kyaa tum ne kah daalaa

पलकों के पीछे से क्या तुम ने कह डाला
Work
Year
Language

पलकों के पीछे से क्या तुम ने कह डाला
फिर से तो फर्माना
नैनों ने सपनों की महफ़िल सजायी है
तुम भी ज़रूर आना

तोबा मेरी तोबा, मुश्किल था एक तो पहले ही दिल का बहलना
आफ़त फिर उस पे लट में तुम्हारा मुखड़ा छिपा के चलना
ऐसे ना बोलो, पड जाये मुझ को शरमाना

दुनिया ना देखे धड़के मेरा मन रस्ता सजन मेरा छोड़ो
तन थरथराये उंगली हमारी देखो पिया ना मरोड़ो
यूँ ना सताओ, मुझ को बना के दीवाना

बच बच के हम से, ओ मतवाली है ये कहाँ का इरादा
नाजुक लबों से फिर करती जाओ मिलने का कोई वादा
दिल ये मेरा घर है तुम्हारा, आ जाना

palkoṅ ke pīchhe se kyā tum ne kah ḍālā
phir se to pharmānā
nainoṅ ne sapnoṅ kī mahafil sajāyī hai
tum bhī zarūr ānā

tobā merī tobā, muśhkil thā ek to pahle hī dil kā bahalnā
āfat phir us pe laṭ meṅ tumhārā mukhaṛā chhipā ke chalnā
aise nā bolo, paḍ jāye mujh ko śharmānā

duniyā nā dekhe dhaṛke merā man rastā sajan merā chhoṛo
tan tharathrāye uṅglī hamārī dekho piyā nā maroṛo
yūṇ nā satāo, mujh ko banā ke dīvānā

bach bach ke ham se, o matvālī hai ye kahāṇ kā irādā
nājuk laboṅ se phir kartī jāo milne kā koī vādā
dil ye merā ghar hai tumhārā, ā jānā