Pal bhar men ye k‌yaa ho gayaa, vo main gayee vo man gayaa

पल भर में ये क्‌या हो गया, वो मैं गयी वो मन गया
Work
Year
Language

पल भर में ये क्‌या हो गया
वो मैं गयी वो मन गया
चुनरी कहे सुन री पवन
सावन लाया अब के सजन
दिन भर मुझे यूँ सताये
तुम बिन अब तो रहा नहीं जाए
पल भर …

आशा की छोटी सी नय्या
लेके चली पुरवैय्या
डोले डोले झुमका बोले
चुपके से ये भेद खोले
आजायेगा आजायेगा प्यार से तुम बुलाना
पल भर …

आई बहारें सिमटके
कहने लगी वो लिपटके
चोरी चोरी चलो गोरी
थामे हुए बंय्या मोरी
मिल जायेगा मिल जायेगा तुमको वही दीवाना
पल भर …

pal bhar meṅ ye k‌yā ho gayā
vo maiṅ gayī vo man gayā
chunrī kahe sun rī pavan
sāvan lāyā ab ke sajan
din bhar mujhe yūṇ satāye
tum bin ab to rahā nahīṅ jāe
pal bhar …

āśhā kī chhoṭī sī nayyā
leke chalī purvaiyyā
ḍole ḍole jhumkā bole
chupke se ye bhed khole
ājāyegā ājāyegā pyār se tum bulānā
pal bhar …

āī bahāreṅ simaṭke
kahne lagī vo lipaṭke
chorī chorī chalo gorī
thāme hue baṅyyā morī
mil jāyegā mil jāyegā tumko vahī dīvānā
pal bhar …