Title (Indic)क्या ख़बर थी तेरी महफ़िल से निकलना होगा WorkPak Daman Year1969 LanguageHindi Credits Role Artist Music Inayat Hussain Performer Noor Jehan Writer Qateel Shafai LyricsHindiक्या ख़बर थी तेरी मह्फ़िल से निकलना होगा दिल न चाहे गा मगर आग पे चलना होगा शमा इक रात जला कर्ती है लेकिन मुझ को उम्र भर के लिये चुप चाप पिघलना होगा छीन ली पयार की ठन्डक तो ज़माने ने कहा तुझ को इक आतिश-ए-गुमनाम में जलना होगा बन्द हैं मौत की राहें भी असीरों के लिये जाने इस क़ैद से अब कैसे निकलना होगा आसमां वाला अगर मेरा ख़ुदा है तो उसे अपनी दुनिया के रिवाजों को बदलना होगा Englishkyā khabar thī terī mahfil se nikalnā hogā dil na chāhe gā magar āg pe chalnā hogā śhamā ik rāt jalā kartī hai lekin mujh ko umr bhar ke liye chup chāp pighalnā hogā chhīn lī payār kī ṭhanḍak to zamāne ne kahā tujh ko ik ātiśh-e-gumnām meṅ jalnā hogā band haiṅ maut kī rāheṅ bhī asīroṅ ke liye jāne is qaid se ab kaise nikalnā hogā āsmāṅ vālā agar merā khudā hai to use apnī duniyā ke rivājoṅ ko badalnā hogā