Pairon kee beriyaan khvaabon ko baandhe naheen re

पैरों की बेड़ियाँ ख्वाबों को बाँधे नहीं रे
Work
Year
Language

पैरों की बेड़ियाँ ख्वाबों को बाँधे नहीं रे, कभी नहीं रे
मिट्टी की परतों को नन्हे से अंकुर भी चीरे, धीरे धीरे
इरादे हरे-भरे जिनके सीनो में घर करे
वो दिल की सुने, करे, ना डरे, ना डरे
सुबह की किरणों को रोकें जो सलाखें हैं कहाँ
जो ख़यालों पे पहरे डाले वो आँखें हैं कहाँ
पर खुलने की देरी है परिंदे उड़ के झूमेंगे
आसमां, आसमां, आसमां
आज़ादियाँ, आज़ादियाँ
मांगे ना कभी, मिले, मिले, मिले
आज़ादियाँ, आज़ादियाँ
जो छीने वही, जी ले, जी ले, जी ले
सुबह की किरणों को रोकें जो सलाखें हैं कहाँ
जो ख़यालों पे पहरे डाले वो आँखें हैं कहाँ
पर खुलने की देरी हैं परिंदे उड़ के झूमेंगे
आसमां, आसमां, आसमां
कहानी ख़त्म है या शुरूवात होने को है
सुबह नई है यह या फिर रात होने को है
आने वाला वक़्त देगा पनाहें
या फिर से मिलेंगे दोराहें
खबर क्या, क्या पता

pairoṅ kī beṛiyāṇ khvāboṅ ko bāṇdhe nahīṅ re, kabhī nahīṅ re
miṭṭī kī partoṅ ko nanhe se aṅkur bhī chīre, dhīre dhīre
irāde hare-bhare jinke sīno meṅ ghar kare
vo dil kī sune, kare, nā ḍare, nā ḍare
subah kī kirṇoṅ ko rokeṅ jo salākheṅ haiṅ kahāṇ
jo khayāloṅ pe pahre ḍāle vo āṇkheṅ haiṅ kahāṇ
par khulne kī derī hai pariṅde uṛ ke jhūmeṅge
āsmāṅ, āsmāṅ, āsmāṅ
āzādiyāṇ, āzādiyāṇ
māṅge nā kabhī, mile, mile, mile
āzādiyāṇ, āzādiyāṇ
jo chhīne vahī, jī le, jī le, jī le
subah kī kirṇoṅ ko rokeṅ jo salākheṅ haiṅ kahāṇ
jo khayāloṅ pe pahre ḍāle vo āṇkheṅ haiṅ kahāṇ
par khulne kī derī haiṅ pariṅde uṛ ke jhūmeṅge
āsmāṅ, āsmāṅ, āsmāṅ
kahānī khatm hai yā śhurūvāt hone ko hai
subah naī hai yah yā phir rāt hone ko hai
āne vālā vaqt degā panāheṅ
yā phir se mileṅge dorāheṅ
khabar kyā, kyā patā