पैदल चल रहा हूँ ... अकेला है मिस्तेर खिलाड़ी
पैदल चल रहा हूँ गाड़ी चाहिए
जीवन के सफ़र में सवारी चाहिए
अकेला है mister खिलाड़ी miss खिलाड़ी चाहिए
पैदल चल रहा हूँ …
जवानी कटेगी अकेले में कैसे
न लड़की है कोई न pocket में पैसे
मेरे घर के चक्कर लगाते हैं लड़के
मगर वो न आया जो है सबसे बढ़के
पहाड़ों की ठंडी बर्फ़ हो लड़की कोई उस तरह हो
लड़का मिले इक खिलाड़ी मगर पास हो उसके गाड़ी
मैं हूँ इक कुंवारा कुंवारी चाहिए
दिल को जीत ले जो वो जुआरी चाहिए
अकेला है mister खिलाड़ी …
मिले कोई लड़की मुझे सफ़र में
मेरा दिल चुरा ले जो बस इक नज़र में
मिले ऐसा लड़का जो नींदें उड़ा ले
जो पलकों की छांव में मुझको बिठा ले
कहां मेरी जान-ए-जिगर है न जाने कहां है किधर है
ये कैसा गज़ब का शहर है अकेला हूँ लोगों का डर है
मैं हूँ इक कुंवारा कुंवारी चाहिए
दिल को जीत ले जो वो जुआरी चाहिए
अकेला है mister खिलाड़ी …
paidal chal rahā hūṇ gāṛī chāhie
jīvan ke safar meṅ savārī chāhie
akelā hai mister khilāṛī miss khilāṛī chāhie
paidal chal rahā hūṇ …
javānī kaṭegī akele meṅ kaise
na laṛkī hai koī na pocket meṅ paise
mere ghar ke chakkar lagāte haiṅ laṛke
magar vo na āyā jo hai sabse baṛhke
pahāṛoṅ kī ṭhaṅḍī barf ho laṛkī koī us tarah ho
laṛkā mile ik khilāṛī magar pās ho uske gāṛī
maiṅ hūṇ ik kuṅvārā kuṅvārī chāhie
dil ko jīt le jo vo juārī chāhie
akelā hai mister khilāṛī …
mile koī laṛkī mujhe safar meṅ
merā dil churā le jo bas ik nazar meṅ
mile aisā laṛkā jo nīṅdeṅ uṛā le
jo palkoṅ kī chhāṅv meṅ mujhko biṭhā le
kahāṅ merī jān-e-jigar hai na jāne kahāṅ hai kidhar hai
ye kaisā gazab kā śhahar hai akelā hūṇ logoṅ kā ḍar hai
maiṅ hūṇ ik kuṅvārā kuṅvārī chāhie
dil ko jīt le jo vo juārī chāhie
akelā hai mister khilāṛī …