Pahle pyaar kaa pahlaa gham ... aa bhee jaao varnaa ro denge ham

पहले प्यार का पहला ग़म ... आ भी जाओ वरना रो देंगे हम्
Year
Language

पहले प्यार का पहला ग़म पहली बार हैं आँखें नम
पहला है तन्हाई का ये मौसम आ भी जाओ वरना रो देंगे हम

हमने थे देखे साथ जो मिलके सपने रूठ गए
सारे खिलौने कांच के निकले छन से टूट गए
अब हम हैं तन्हाई है एक उदासी छाई है
धड़कन भी है जैसे मद्धम मद्धम
आ भी जाओ वरना …

तुम जो नहीं तो दुनिया हमको अच्छी नहीं लगती
तुम जो नहीं तो बात कोई हो सच्ची नहीं लगती
हमने दिल को समझाया सौ बातों से बहलाया
लेकिन दिल का दर्द नहीं होता कम
आ भी जाओ वरना …

pahle pyār kā pahlā ġham pahlī bār haiṅ āṇkheṅ nam
pahlā hai tanhāī kā ye mausam ā bhī jāo varnā ro deṅge ham

hamne the dekhe sāth jo milke sapne rūṭh gae
sāre khilaune kāṅch ke nikle chhan se ṭūṭ gae
ab ham haiṅ tanhāī hai ek udāsī chhāī hai
dhaṛkan bhī hai jaise maddham maddham
ā bhī jāo varnā …

tum jo nahīṅ to duniyā hamko achchhī nahīṅ lagtī
tum jo nahīṅ to bāt koī ho sachchī nahīṅ lagtī
hamne dil ko samjhāyā sau bātoṅ se bahlāyā
lekin dil kā dard nahīṅ hotā kam
ā bhī jāo varnā …