Pahle pahle pyaar kee mulaakaaten yaad hain

पहले पहले प्यार की मुलाकातें याद हैं
Year
Language

पहले पहले प्यार की मुलाक़ातें याद हैं
मुझ को तो तुम्हारी सारी बातें याद हैं
तुम को कैसे भूल गया, दिल का ये अफ़साना
मैं तुम को क्या कहूँ, दीवाना ...

कितने लोगों से मैं मिलकर भूल जाता हूँ
मेरी आदत है अक्सर मैं भूल जाता हूँ
देखा फिर कुछ भूल गया, मुझ को याद दिलाना
मेरा क्या नाम है, अन्जाना ...

अच्छा मैं सब बातों का हिसाब रखूँगा
यादों और वादों की एक किताब रखूँगा
सब से पहले इस में तुम अपना नाम लिखाना
तेरा क्या नाम है ? सुलताना

pahle pahle pyār kī mulāqāteṅ yād haiṅ
mujh ko to tumhārī sārī bāteṅ yād haiṅ
tum ko kaise bhūl gayā, dil kā ye afsānā
maiṅ tum ko kyā kahūṇ, dīvānā ...

kitne logoṅ se maiṅ milkar bhūl jātā hūṇ
merī ādat hai aksar maiṅ bhūl jātā hūṇ
dekhā phir kuchh bhūl gayā, mujh ko yād dilānā
merā kyā nām hai, anjānā ...

achchhā maiṅ sab bātoṅ kā hisāb rakhūṇgā
yādoṅ aur vādoṅ kī ek kitāb rakhūṇgā
sab se pahle is meṅ tum apnā nām likhānā
terā kyā nām hai ? sultānā