Pahle mile the sapnon men, aur aaj saamne paayaa

पहले मिले थे सपनों में, और आज सामने पाया
Work
Year
Language

पहले मिले थे सपनों में, और आज सामने पाया
हाय क़ुर्बान जाऊँ
तुम संग जीवन ऐसे कटेगा जैसे धूप-संग छाया
हाय क़ुर्बान जाऊँ

ऐ साँवली हसीना दिल मेरा तूने छीना
मदहोश मंज़िलों पर तूने सिखाया जीना
एक झलक से मेरा मुक़द्दर तूने आज चमकाया
हाय क़ुर्बान जाऊँ …

ज़ुल्फ़ें जो मुँह पे डालो तो दिन में शाम कर दो
और बेनक़ाब निकलो तो क़त्ल-ए-आम कर दो
वो ही बचेगा जिसको मिलेगा तेरे प्यार का साया
हाय क़ुर्बान जाऊँ …

गर झूमके चलो तुम ऐ जान-ए-ज़िन्दगानी
पत्थर का भी कलेजा हो जाए पानी-पानी
गोरे बदन पर काला आँचल और रंग ले आया
हाय क़ुर्बान जाऊँ …

pahle mile the sapnoṅ meṅ, aur āj sāmne pāyā
hāy qurbān jāūṇ
tum saṅg jīvan aise kaṭegā jaise dhūp-saṅg chhāyā
hāy qurbān jāūṇ

ai sāṇvlī hasīnā dil merā tūne chhīnā
madhośh maṅziloṅ par tūne sikhāyā jīnā
ek jhalak se merā muqaddar tūne āj chamkāyā
hāy qurbān jāūṇ …

zulfeṅ jo muṇh pe ḍālo to din meṅ śhām kar do
aur benaqāb niklo to qatl-e-ām kar do
vo hī bachegā jisko milegā tere pyār kā sāyā
hāy qurbān jāūṇ …

gar jhūmke chalo tum ai jān-e-zindgānī
patthar kā bhī kalejā ho jāe pānī-pānī
gore badan par kālā āṇchal aur raṅg le āyā
hāy qurbān jāūṇ …