din hai suhānā āj pahlī tārīkh hai - 2
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai
bīvī bolī ghar zarā jaldī se ānā, jaldī se ānā
śhām ko piyājī hameṅ sinemā dikhānā, hameṅ sinemā dikhānā
karo nā bahānā hāṇ bahānā bahānā
karo nā bahānā āj pahlī tārīkh hai
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai
kis ne pukārā ruk gayā bābū
lālājī kī jāṇ āj āyā hai kābū āyā hai kābū
o paisā zarā lānā lānā lānā
o paisā zarā lānā āj pahlī tārīkh hai
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai
baṅdā bekār hai qismat kī mār hai
sab din ek hai roz-e-aitbār hai
mujhe nā sunānā hāṇ sunānā sunānā
mujhe nā sunānā āj pahlī tārīkh hai
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai
daftar ke sāmne āe mehmān haiṅ
baṛe hī śharīf haiṅ purāne meharbān haiṅ - 2
are jeb ko bachānā bachānā bachānā
jeb ko bachānā āj pahlī tārīkh hai
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai
dil beqrār hai soe nahīṅ rāt se
seṭhjī ko ġham hai ki paiso chalo hāth se
are lūṭegā khazānā khazānā khazānā
lūṭegā khazānā āj pahli tārīkh hai
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai
ai sinemāvāloṅ āo āo khel mazedār hai
o khel mazedār hai jī khel mazedār hai
āgā hai bhagvān hai kiśhor kumār hai
nimmi gītā bālī hai aśhok kumār hai
nargīs rāj kapūr hai dilīp kumār hai
gītoṅ kā tūfān hai nāch kī bahār hai, nāch ki bahār hai
pāṅch āne kā das ānā - 3
are vāpas nahīṅ jānā jānā jānā
vāpas nahīṅ jānā āj pahli tārīkh hai
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai
miljul ke bachchoṅ ne bāpū ko gherā, bāpū ko gherā
kahte haiṅ sāre kī bāpū hai merā, bāpū hai merā
khilaune zarā lānā, khilaune zalā lānā āj pahlī tārīkh hai
khuśh hai zamānā … pahlī tārīkh …
din hai suhānā āj pahlī tārīkh hai
khuśh hai zamānā āj pahlī tārīkh hai
pahlī tārīkh ajī pahlī tārīkh hai