Paaylen chhunmun ... kitnaa madhur hai ye milan

पायलें छुनमुन ... कितना मधुर है ये मिलन्
Work
Year
Language

पायलें छुनमुन छुनमुन झांझरें रुनझुन रुनझुन
कितना मधुर है ये मिलन
छनन छन चूड़ी बोले सनन सन पुरबा डोले
गूंजे ये धरती और गगन

कभी चलती हो छम छम कभी चलती हो थम थम
धड़कता दिल है धम धम जो प्यार में
नदी बहती है झर झर हवा कहती है छर छर
और फैली बात ये घर घर बेकार में
ओ गोरियां गाएं गुन गुन साजना झूमें सुन सुन
प्यार में खोए हैं ये मन

ये बईया गोरी गोरी मैं थामूं चोरी चोरी
ज़रा सुन ओ री ओ री सुन तो ज़रा
रहे तू महकी महकी चले तू बहकी बहकी
लगे तू लहकी लहकी मुझको सदा
लाऊं मैं कलियाँ चुन चुन बाजे एकतारा तुन तुन
दोनों हों सुन के हम मगन
पायलें छुनमुन …

pāyleṅ chhunmun chhunmun jhāṅjhreṅ runjhun runjhun
kitnā madhur hai ye milan
chhanan chhan chūṛī bole sanan san purbā ḍole
gūṅje ye dhartī aur gagan

kabhī chaltī ho chham chham kabhī chaltī ho tham tham
dhaṛaktā dil hai dham dham jo pyār meṅ
nadī bahtī hai jhar jhar havā kahtī hai chhar chhar
aur phailī bāt ye ghar ghar bekār meṅ
o goriyāṅ gāeṅ gun gun sājnā jhūmeṅ sun sun
pyār meṅ khoe haiṅ ye man

ye baīyā gorī gorī maiṅ thāmūṅ chorī chorī
zarā sun o rī o rī sun to zarā
rahe tū mahkī mahkī chale tū bahkī bahkī
lage tū lahkī lahkī mujhko sadā
lāūṅ maiṅ kaliyāṇ chun chun bāje ektārā tun tun
donoṅ hoṅ sun ke ham magan
pāyleṅ chhunmun …