पापा कहते हैं बड़ा नाम करेगा
पापा कहते हैं बड़ा नाम करेगा
बेटा हमारा ऐसा काम करेगा
मगर ये तो, कोई ना जाने
के मेरी मंज़िल, है कहाँ
1) बैठे हैं मिलके, सब यार अपने
सबके दिलों में, अरमां ये है
वो ज़िन्दगी में, कल क्या बनेगा
हर इक नजर का, सपना ये है
कोई engineer का काम करेगा
business में कोई अपना नाम करेगा, मगर ये तो …
2) मेरा तो सपना, है एक चेहरा
देखे जो उसको, झूमे बहार
गालों में खिलती, कलियों का मौसम
आँखों में जादू, होठों में प्यार
बन्दा ये खूबसूरत काम करेगा
दिल की दुनिया में अपना नाम करेगा, मगर ये तो …
pāpā kahte haiṅ baṛā nām karegā
beṭā hamārā aisā kām karegā
magar ye to, koī nā jāne
ke merī maṅzil, hai kahāṇ
1) baiṭhe haiṅ milke, sab yār apne
sabke diloṅ meṅ, armāṅ ye hai
vo zindgī meṅ, kal kyā banegā
har ik najar kā, sapnā ye hai
koī engineer kā kām karegā
business meṅ koī apnā nām karegā, magar ye to …
2) merā to sapnā, hai ek chehrā
dekhe jo usko, jhūme bahār
gāloṅ meṅ khiltī, kaliyoṅ kā mausam
āṇkhoṅ meṅ jādū, hoṭhoṅ meṅ pyār
bandā ye khūbsūrat kām karegā
dil kī duniyā meṅ apnā nām karegā, magar ye to …