Paan kaa ek beeraa ... phir chaal dekho banaarsee baaboo kee

पान का एक बीड़ा ... फिर चाल देखो बनारसी बाबू की
Year
Language

पान का एक बीड़ा खिला दो फिर चाल देखो बनारसी बाबू की
इसमें थोड़ा सा ज़र्दा मिला दो फिर चाल देखो बनारसी बाबू की
चाल देखो बनारसी बाबू …

होंठों के प्याले रसीले नैन तुम्हारे नशीले
गोरी पतली कमर तुम हिला दो
फिर चाल देखो …

अंदाज़ मेरा है सबसे निराला
बुद्धू ना समझो मैं हूँ भोला भाला
ज़रा गंगा का पानी पिला दो
फिर चाल देखो …

मैं बिगड़े लोगों को रास्ते पे लाऊं
मैं अच्छे अच्छों के छक्‌के छुड़ाऊं
हो मेरे हाथों बम्बू दिला दो
फिर चाल देखो …

pān kā ek bīṛā khilā do phir chāl dekho banārsī bābū kī
ismeṅ thoṛā sā zardā milā do phir chāl dekho banārsī bābū kī
chāl dekho banārsī bābū …

hoṅṭhoṅ ke pyāle rasīle nain tumhāre naśhīle
gorī patlī kamar tum hilā do
phir chāl dekho …

aṅdāz merā hai sabse nirālā
buddhū nā samjho maiṅ hūṇ bholā bhālā
zarā gaṅgā kā pānī pilā do
phir chāl dekho …

maiṅ bigaṛe logoṅ ko rāste pe lāūṅ
maiṅ achchhe achchhoṅ ke chhak‌ke chhuṛāūṅ
ho mere hāthoṅ bambū dilā do
phir chāl dekho …