Dil dil hai deevaanaa aa baahon men aanaa

दिल दिल है दीवाना आ बाहों में आना
Work
Year
Language

दिल दिल है दीवाना आ बाहों में आना
ना ना दूर जाना जानां तुझको है मेरी कसम
दिल दिल है दीवाना …

तेरी नज़र ने मेरी नज़र से चुपके से कुछ कह दिया है
जादू तूने भी जादू किया है
कैसा ये दर्द मुझको दिया है
यारा मुझको तू मुझसे चुरा
दिल दिल है दीवाना …

करीब आके गले लगाके दे दी मुझे बेकरारी
तेरी छाई है मुझपे खुमारी
जानां हालत बुरी है हमारी
यारा साँसों में आके समा
दिल दिल है दीवाना …

dil dil hai dīvānā ā bāhoṅ meṅ ānā
nā nā dūr jānā jānāṅ tujhko hai merī kasam
dil dil hai dīvānā …

terī nazar ne merī nazar se chupke se kuchh kah diyā hai
jādū tūne bhī jādū kiyā hai
kaisā ye dard mujhko diyā hai
yārā mujhko tū mujhse churā
dil dil hai dīvānā …

karīb āke gale lagāke de dī mujhe bekrārī
terī chhāī hai mujhpe khumārī
jānāṅ hālat burī hai hamārī
yārā sāṇsoṅ meṅ āke samā
dil dil hai dīvānā …