Oy raajoo pyaar naa kariyo dariyo dil toot jaataa hai

ओय राजू प्यार ना करियो डरियो दिल टूट जाता है
Year
Language

ओय राजू प्यार ना करियो डरियो दिल टूट जाता है
चाहत की बात ना करियो डरियो दिल टूट जाता है
दिल दीवाना तू न आना दिल की बातों में सोच ले
ओय राजू प्यार …

मैने अपने दिल को मेरे दिल ने मुझको रोका
प्यार है क्‌या इक मस्त हवा का आता जाता झोंका
जान गंवा बैठा जिसने खेला ये खेल दिलों का
ओय राजू प्यार …

पहले पहले प्यार की अच्छी लगती हैं बरसातें
उसके बाद न पूछो कैसे कटती हैं रातें
रस्ते में रह जाती हैं अरमानों की बारातें
ओय राजू प्यार …

प्यार में अपनी जान भी हो जाती है चीज़ पराई
दिल में बसने वाले अक्‌सर होते हैं हरजाई
हमने भी ये तब जाना जब चोट जिगर पे खाई
ओय राजू प्यार …

oy rājū pyār nā kariyo ḍariyo dil ṭūṭ jātā hai
chāhat kī bāt nā kariyo ḍariyo dil ṭūṭ jātā hai
dil dīvānā tū na ānā dil kī bātoṅ meṅ soch le
oy rājū pyār …

maine apne dil ko mere dil ne mujhko rokā
pyār hai k‌yā ik mast havā kā ātā jātā jhoṅkā
jān gaṅvā baiṭhā jisne khelā ye khel diloṅ kā
oy rājū pyār …

pahle pahle pyār kī achchhī lagtī haiṅ barsāteṅ
uske bād na pūchho kaise kaṭtī haiṅ rāteṅ
raste meṅ rah jātī haiṅ armānoṅ kī bārāteṅ
oy rājū pyār …

pyār meṅ apnī jān bhī ho jātī hai chīz parāī
dil meṅ basne vāle ak‌sar hote haiṅ harjāī
hamne bhī ye tab jānā jab choṭ jigar pe khāī
oy rājū pyār …