Oopar vaalaa dukhiyon kee naaheen suntaa re

ऊपर वाला दुखियों की नाहीं सुनता रे
Work
Year
Language

कि: ऊपर वाला दुखियों की नाहीं सुनता रे
दि: सोता है बहुत जागा है ना
कि: ऊपर वाला दुखियों की नाहीं सुनता रे
कौन है जो उसको गगन से उतारे
बन-बन-बन मेरे जैसा बन
इस जीवन का यही है जतन साला यही है जतन

दि: अरे ग़म की आग बुझाना है तो हमसे सीखो यार
आग लगी
कि: आग लगी हमरी झोपड़िया में हम गावें मल्हार
देख भाई कितने तमाशे की ज़िन्दगानी हमार

हे भोले-भाले ललवा खाए जा रोटी बासी
दि: अरे ये ही खा के जवान होगा बेटा
कि: भोले-भाले ललवा खाए जा रोटी बासी
बड़ा हो के बनेगा साहेब का चपरासी
खेल-खेल-खेल माटी में होली खेल
गाल में गुलाल है न ज़ुल्फ़ों में तेल
दि: अरे अपनी भी जवानी क्‌या है सुना तेने यार
आग लगी
कि: आग लगी हमरी …

हे सजनी तू काहे आई नगरी हमारी
दि: चल जा भाग जा भाग
कि: सजनी तू काहे आई नगरी हमारी
धरे सा बिदेसी बाबू बहियाँ तुम्हारी
थाम-थाम-थाम गोरी ज़रा थाम
नाहीं लुट जाएगी राम कसम
दि: अरे केहूं नाहीं आएगा रे सुन के पुकार
आग लगी
कि: आग लगी हमरी …

ki: ūpar vālā dukhiyoṅ kī nāhīṅ suntā re
di: sotā hai bahut jāgā hai nā
ki: ūpar vālā dukhiyoṅ kī nāhīṅ suntā re
kaun hai jo usko gagan se utāre
ban-ban-ban mere jaisā ban
is jīvan kā yahī hai jatan sālā yahī hai jatan

di: are ġham kī āg bujhānā hai to hamse sīkho yār
āg lagī
ki: āg lagī hamrī jhopaṛiyā meṅ ham gāveṅ malhār
dekh bhāī kitne tamāśhe kī zindgānī hamār

he bhole-bhāle lalvā khāe jā roṭī bāsī
di: are ye hī khā ke javān hogā beṭā
ki: bhole-bhāle lalvā khāe jā roṭī bāsī
baṛā ho ke banegā sāheb kā chaprāsī
khel-khel-khel māṭī meṅ holī khel
gāl meṅ gulāl hai na zulfoṅ meṅ tel
di: are apnī bhī javānī k‌yā hai sunā tene yār
āg lagī
ki: āg lagī hamrī …

he sajnī tū kāhe āī nagrī hamārī
di: chal jā bhāg jā bhāg
ki: sajnī tū kāhe āī nagrī hamārī
dhare sā bidesī bābū bahiyāṇ tumhārī
thām-thām-thām gorī zarā thām
nāhīṅ luṭ jāegī rām kasam
di: are kehūṅ nāhīṅ āegā re sun ke pukār
āg lagī
ki: āg lagī hamrī …