Oonche himaalay ke neeche

ऊँचे हिमालय के नीचे
Year
Language

( ऊँचे हिमालय के नीचे
छुप के चनारों के पीछे
सोए रहेंगे मेरे सपने ) -2
कब तक यूँ ही अँखियाँ मीचे-मीचे
हो ऊँचे हिमालय के …

ऐसे रहे ये मनवा व्याकुल
क़ैद में जैसे कोई बुलबुल
अब ना भाएँ मुझको बाबुल
ये तेरे बाग़-बग़ीचे
ऊँचे हिमालय के …

धूप से खेले ऐसे छईयाँ
प्यार में जैसे कोई सैंया
थाम ले कँगना वाली बईयाँ -2
पनघट पे पीपल के नीचे-नीचे
ऊँचे हिमालय के …

( ūṇche himālay ke nīche
chhup ke chanāroṅ ke pīchhe
soe raheṅge mere sapne ) -2
kab tak yūṇ hī aṇkhiyāṇ mīche-mīche
ho ūṇche himālay ke …

aise rahe ye manvā vyākul
qaid meṅ jaise koī bulbul
ab nā bhāeṇ mujhko bābul
ye tere bāġh-baġhīche
ūṇche himālay ke …

dhūp se khele aise chhaīyāṇ
pyār meṅ jaise koī saiṅyā
thām le kṇgnā vālī baīyāṇ -2
panghaṭ pe pīpal ke nīche-nīche
ūṇche himālay ke …