O yaa qurbaan ... o sabaa kahnaa mere dildaar ko

ओ या क़ुर्बान ... ओ सबा कहना मेरे दिलदार को
Work
Year
Language

ओ या क़ुर्बान

वो आँखें थी दिलबर की या नर्गिस-ए-मस्ताना
देखे हुए उस बुत को अब हो गया ज़माना
ओ सबा कहना मेरे दिलदार को
दिल तड़पता है तेरे दीदार को
ओ सबा कहना …

ओ या क़ुर्बान
देखेंगे कब वो सूरत जिस पे बहार सदके
ये दिल तो क्‌या है यारों काबुल क़ंधार सदके
किस तरह भूले निगाह-ए-यार को
दिल तड़पता है तेरे दीदार को
ओ सबा कहना …

ओ या क़ुर्बान
कैसी है ये क़यामत, ओ तू ही बता ख़ुदाया
जितना बुलाया उस को उतना वो याद आया
क्‌या क़रार आये तेरे बीमार को
दिल तड़पता है तेरे दीदार को
ओ सबा कहना …

o yā qurbān

vo āṇkheṅ thī dilbar kī yā nargis-e-mastānā
dekhe hue us but ko ab ho gayā zamānā
o sabā kahnā mere dildār ko
dil taṛaptā hai tere dīdār ko
o sabā kahnā …

o yā qurbān
dekheṅge kab vo sūrat jis pe bahār sadke
ye dil to k‌yā hai yāroṅ kābul qaṅdhār sadke
kis tarah bhūle nigāh-e-yār ko
dil taṛaptā hai tere dīdār ko
o sabā kahnā …

o yā qurbān
kaisī hai ye qayāmat, o tū hī batā khudāyā
jitnā bulāyā us ko utnā vo yād āyā
k‌yā qarār āye tere bīmār ko
dil taṛaptā hai tere dīdār ko
o sabā kahnā …