O too k‌yaa jaane din-raat ham jeete hain

ओ तू क्‌या जाने दिन-रात हम जीते हैं
Work
Year
Language

ओ तू क्‌या जाने दिन-रात हम जीते हैं
ओ तेरा नाम ले के -2
ओ तेरी नज़रों के जाम हम पीते हैं
ओ तेरा नाम …

तेरी ही बातें करते हैं हम सारी रात सितारों से
यह पूछ ले शोख़ नज़ारों से यह पूछ ले मस्त बहारों से
कि ज़िन्दगी के सुबह-शाम कैसे बीते हैं
ओ तेरा नाम …

तेरी मासूम निगाहों ने बदली क़िस्मत दिलवालों की
जब से हमने दौलत पाई तेरे रंगीन ख़्यालों की
हर हारी हुई बाज़ी हम जीते हैं
ओ तेरा नाम …

हम तेरी याद में सोए नहीं जाने कितनी ही रातों से
ले बस हम अब चुप हो जाते हैं मत रूठो हमारी बातों से
न कहेंगे कुछ और लब सीते हैं
ओ तेरा नाम …

o tū k‌yā jāne din-rāt ham jīte haiṅ
o terā nām le ke -2
o terī nazroṅ ke jām ham pīte haiṅ
o terā nām …

terī hī bāteṅ karte haiṅ ham sārī rāt sitāroṅ se
yah pūchh le śhokh nazāroṅ se yah pūchh le mast bahāroṅ se
ki zindgī ke subah-śhām kaise bīte haiṅ
o terā nām …

terī māsūm nigāhoṅ ne badlī qismat dilvāloṅ kī
jab se hamne daulat pāī tere raṅgīn khyāloṅ kī
har hārī huī bāzī ham jīte haiṅ
o terā nām …

ham terī yād meṅ soe nahīṅ jāne kitnī hī rātoṅ se
le bas ham ab chup ho jāte haiṅ mat rūṭho hamārī bātoṅ se
na kaheṅge kuchh aur lab sīte haiṅ
o terā nām …