O teer chalaane vaale zaraa aa saamne aa kar teer chalaa

ओ तीर चलाने वाले ज़रा आ सामने आ कर तीर चला
Work
Year
Language

तीर चला तीर चला तीर चला

ओ तीर चलाने वाले ज़रा
आ सामने आ कर तीर चला
तीर चला तीर चला तीर चला
तूने मुझे छुप कर लूट लिया
आ सामने आ कर तीर चला
तीर चला तीर चला तीर चला

दिल तोड़ने वाले खौफ़ न खा
सूरत तो दिखा, नज़रें तो मिला
हम भी हैं तेरे दिल भी है तेरा
आ सामने आ कर तीर चला …

मैं और कहीं तू और कहीं
उल्फ़त का तो ये दस्तूर नहीं
फिर भी तुझे दिल देता है दुआ
आ सामने आ कर तीर चला …

tīr chalā tīr chalā tīr chalā

o tīr chalāne vāle zarā
ā sāmne ā kar tīr chalā
tīr chalā tīr chalā tīr chalā
tūne mujhe chhup kar lūṭ liyā
ā sāmne ā kar tīr chalā
tīr chalā tīr chalā tīr chalā

dil toṛne vāle khauf na khā
sūrat to dikhā, nazreṅ to milā
ham bhī haiṅ tere dil bhī hai terā
ā sāmne ā kar tīr chalā …

maiṅ aur kahīṅ tū aur kahīṅ
ulfat kā to ye dastūr nahīṅ
phir bhī tujhe dil detā hai duā
ā sāmne ā kar tīr chalā …